Sunday, February 23, 2014

Bharat Ka Jaykaar Likhoonga

Kalam utha hi li hai ab to, bharat ki jaykar likhoonga!
Hundred crore hindustaniyon ka mai to hahakar likhoonga!
Rote bilakhte bharat ka majdoor aur kisan likhoonga!
Bhukhe nange garibo ka dard mai barambar likhoonga!
Berojgar yuwao ka majburi or har hal likhoonga!
Bharat ke janta pe hote har ek atyachar likhoonga!

Jai HInd.


Friday, August 31, 2012

Hamne Tumhe Chuna Lakho me Hajaro Me

Hamne Tumhe Chuna Lakho me Hajaro Me,
Tumne Hame Bhulwaya Wadon Me Ghosnao Me.
E Hamare Chune Huye Maalik Kar De Unhe Pura Bhi,
Yaad Rakhenge Tumhe Es Ghotale Ke Jamane Me..  !!!!!!!!!!! JAI HIND  !!!!!!!!!!!

Friday, October 21, 2011

Kyo Kare Pyar Jab Chot Kahana Hi Hai


Kyon Likhen Apna Naam Kisi Ke Dil Par, Jab Use Mit Jana Hi Hai..
Kyon De Kisi Ko Khushiyan, Jab Usko Rulana Hi Hai..
Kyon Kare Kisi Se Wade, Jab Unhe Tod Jana Hi Hai..
Kyon Kare Kisi Se Pyar Jab, Chot Kahana Hi Hai..............

Thursday, September 16, 2010

Real Mast Hindi Shayari

Dhokha, Wafa, Fareb Jamane me rah gye..
Ham Dosti ka farj Nibhane me rah gye...
Jo Sath chale the wo aage nikal gye...
Ham raste ka patthar hatane me rah gye..
================================
Har nadiya ke hothon pe samundar ka tarana hai...
Yhan farhad ke aage sada koi bahana hai...
wahi batein purani thi, wahi kissa purana hai..
tumhare or mere bich me fir se ye zamana hai...
===================================
Jiski dhun par duniya nache, dil aisa ektara hai, 
Jo Hamko bhi pyara hai, jo tumko bhi pyara hai..
Jhum rahi hai sari duniya, jabki hamare geeto par.
Tab kahti ho pyar hua hai, kya ahsan tumhara hai..
==================================
Jo Dharti se Ambar Jode, Uska Naam Muhabbat hai, 
Jo Shishe se Patthar Tode Uska Naam Muhabbat hai.
Katra Katra Sagar tak to, Jati hai Har Umar Magar,
Bahta Dariya Wapas Mode, Uska Naam Muhabbat hai..
===============================
Panahon me Jo Aaya ho, To Us Par War Kya Karna,
Jo Dil Hara Hua ho, Us pe Fir Adhikar kya Karna.
Muhabbat ka Maja to Dubne ke Kashmakash me Hai,
Jo Ho Malum Gahrai, To Dariya Par Kya Karna.. :)
===========================
Basti Basti Ghor Udasi, Parvat Parvat Khalipan.
Man Heera Bemol Bik Gya Ghis Ghis Reeta Chandan..
Es Dharti se Us Ambar Tak, Do hi Chij Gajab Ki hai,
Ek to Tera Bholapan or Ek Mera Deewanapan..
=============================
Tumhare Paas Hoon Lekin Jo Doori Hai Samajhta Hoon,
Tumhare Bin Meri Hasti Adhuri Hai Samajhta Hoon..
Tumhe Mai Bhul Jaunga Ye Mumkin Hai Nahi Lekin,
Tumhi ko Bhulna Sabse Jaruri Hai Samajhta Hoon..
==========================
Ham Fakiron Se Jo Chahe Dua Le Jaye,
Fir Khuda Jane KIdhar Hamko Hawa Le Jaye..
Ham Sare Raah Liye Baithe Hain Chingari,
Jo Bhi Chahe Chiragon Ko Jala Le Jaye..
Ham to Kuchh Dene Ke Kabil Hi Kahan Hain, Lekin Haan.
Koi Chahe to Jine Ki Adaa Le Jaye..
 ===========================
Na Jane Kyun Hame Aanshu Bahana Nahi Aata,
Na Jane Kyun Hale Dil Batana Nahi Aata..
Na Jane Kyun Sab Dost Bichhad Gaye Mujhse,
Shayad Mujhe Hi Sath Nibhana Nahi Aata..
==================================
Kuchh To Jite Hain Jannat Ki Tamanna Lekar,
Kuchh Tamannayen Jina Sikha Deti hai...
Samajh Nahi Aata Kis Tamanna Ke Sahare Jiyen,
Ye Jindagi Roj Ek Tamanna Badha Deti Hai..
=================================
Teri Tamanna Me Es Kadar Khoye The,
Na Jage The Ham Na Soye The..
Puchh Lena Khuda Se Agar Yakin Na Ho,
Teri Aaarju Mein Ham Har Sham Roye The..
=================================
Ajnabi Banke Koi Aaya Tha,
Aisa Lga Jaise Wo Mera Saya Tha.
Log Kahte The Roushani Hai Mere Ghar Me,
Lekin Usne to Dil Me Diya Jalaya Tha..
================================
Kasur Na Unka Hai Na Hamara Hai,
Ham Dono Hi Rishto Ki Rashme Nibhate Rahe..
Wo Dosti Ka Ehsas Jatate Rahe,
Or Ham Muhabbat Ko Dil Me Chhupate Rahe..
===============================
Aapne Apni Aankhon Me Noor Chhupa Rakha Hai,
Hosh Walon Ko Bhi Madhosh Bana Rakha Hai.
Naaz Kaise Na Karoon Aapki Dosti Par,
Mujh Jaise Nacheej Ko Bhi Etna Khas Bana Rakha Hai..
=====================================
Phool Sukh Jate Hain Ek Wakt ke Baad,
Log Badal Jate Hain EK Wakt Ke Baad..
Apni Dosti Bhi Tootegi Ek Wakt Ke Baad,
Lekin Wo Wakt Aayega Meri Maut Ke Baad..
==================================
Ham Dosti Me Had se Gujar Jayenge,
Yah Jindagi Aapke Naam Kar Jayenge..
Aap Roya Karengi Hame Yaad Kar ke,
Aapke Daaman me Ham Etna Pyar Chhor Jayenge..
=====================================
Maa Ke Pyar Ka Ehsaas Hota Hai,
Par Maa Ko Maa Kahne Ka Wakt Nahi..
Sare Rishton ko Ham Maar Chuke,
Or Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Wakt Nahi..
===============================
Sare Naam Mobile Me Hai,
Par Dosti ke Liye Wakt Nahi..
Gairon Ki Kya Baat Karein,
Jab Apno Ke Liye Hi Wakt Nahi..
=============================
Unke Jakhm Dene Ka Andaaj Kuchh Aisa Hai,
Jakhm Dekar Puchhti Hai Ab Haal Kaisa Hai..
Ye Samajh Lijiye ki Jahar Deke Kahti Hai Pina Hi Hoga,
Ab Jab Pi Gaye Jahar to Kahti Hai Jeena Hi Hoga...
=======================================
Koi Achha Lage to Us Se Pyar Maat Karna,
Uske Liye Nindein Bekar Maat Karna..
Do Din Aate Hai Ye Log Khushi Se Milne,
Tisre Din Kahte Hai Mera Entjaar Maat Karna..

Wednesday, September 8, 2010

Some Most Hindi Sayri




Jo dikhta hai, wo hota nahi hai..
jo hota hai, wo dikhta nahi hai...
nakali chehara saamne aata hai,
asli surat chhupi rehti hai.

Choti Si Bat Pe Log Ruth Jate He,
Hath Unse Anjane Me Chut Jate He,
Kehte He Bada Nazuk He Apnepan Ka Rishta,
Isme Haste Haste Bhi DIL Tut Jata hai...


kuch to majbooriyan rahi hogi
yun koi bewafa nahi hota
aapna dil bhi tattol kar dekho 
faasla bewajah nahi hota,

jee bohot chahta hai sach bole
kya karen hosla nahi hota.




Na pyar, na yaar,
Na mohhabat, na dosti yaro,
Aaj ke ye devdas ki bat mano,
Na chandra-mukhi, na paro,
Bas har ladki ko line maro.


Din me teri yaad bahut aati ho,
Khawboo me aake satati ho,
Sochta hu ki tume dinner pe bhulalu,
Kya kahu saali tum bahut khati ho…


Manzil ki taraf badte chalo
Jo dil kahe woh raha chalo
Peche walo ko aage na jane do
Jo aage hai unse aur aage niklo


Na pyar, na yaar,
Na mohhabat, na dosti yaro,
Aaj ke ye devdas ki bat mano,
Na chandra-mukhi, na paro,
Bas har ladki ko line maro.



Begano se dosti ki gunjais nahi hoti,
Mout ke badh koi khavaish nahi hoti.
Saayad koi pyaar bhara dil tuta hoga,
Warna November ke mahine mein barish nahi hoti.
`
Dosti main dooriyan to aati rehti hain
Phir bhi dosti dilo ko mila deti hai
Wo dosti hi kiya jo naraz na ho
Per sachi dosti dosto ko mana leti hai..
`
Tum hasti ho mujhe hasane ke liye
Tum roti ho mujhe rulane ke liye
Tum ek bar rooth kar to dekho
Mar jaoun ga tumhein manane ke liye…
`
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye…
`
Humse koi galti ho jaye to maf karna
Yaad na kar paaye to maaf karna
Dil se to hum apko bhulenge nahi
Ye dil hi ruk jaye to maaf karna…
`
Jo bhi mila woh ham se khafa mila
dekho dosti ka kya sila mila
umar bhar rahi faqat wafa ki talash
par har shaks mujh ko bewafa mila..


Kabi laga k wo hame sata rahe h
dusre pal laga k wo karib aa rahe h
wo to palako k Aasuo ki tarah pata hi nhi lagta
sath de rahe h ya chhod k ja rahe hai,

Baate karke rula na dena..
chup rehke saza na dena..
na de sake khushi toh thodi khushi he sahi bus 1vaada karo
ki zindgi me hume kabhi bhula na dena... 

Ishq vale aankhon ki baat samajte h,
sapne me mil jaye to mulakat samjte h,
rote to aasman bhi h pyar k liye,
par log usse barshaat samajte h.

Unki ek nazar ko hum taraste rahenge
ye aansu har pal baraste rahenge
kabhi bitaye the kuch pal unke saath
bas yahi soch kar hum haste rahenge.

Jab Bhi Karib Aata Hu Btane K Liye,
Zindgi Dur Rakhti Hai Stane K Liye
Mehfilo Ki Shan Na Samjna Mujhe
Me To Hasta Hu Gam Chhupane K Liye.

Falak me apni jannat ke sitare nahi,
Hum apke hain par ap humare nahi,
Chhoti si naav lekar us samandar me utar gaye,
Jis samandar me door-2 tak kinare nahi.

umeedo par kabhi bharosa na karna
jo bure ho lamhe usse socha na karna
kami mehsus ho jiski uska khyal mat karna
aap khud mai khaas ho ye humesha yad rkhna.

Mohabat sabko mil jaye jaruri to nhi.
Woh b hume chahe jaruri to nhi.
Kuch log bahut yad aate hai.
Hum bhi unki yaad ban jaye jaruri to nahi.

Milke bichdana dastoor hai zindgi ka,
Ek yahi kissa mashhur h zindgi ka.
Beete huye pal kabhi laut kar nhi aate,
Yahi sabse bada kasur h zindgi ka.

Kabhi hosla bhi azmaa lena chahiye,
Bure waqt main muskura lena cHahiye,
Jab saat din main bhi khujali na mite,
to 8ve din naha lena chahiye.

Kyo har bar mousam ki tarah badal jate ho.
kyo har din hamara dil dukhate ho.
ye baat sunkar hamari ruh kaanp jati hai
ki aap bartan dhone ke sabun se nahate ho.

Utha kar rifel jab jeep par sawar hote,
bandh kar safa jab bana taiyyar hote,
dekhti he duniya chat par chadkar,
kehti he kash hum bhi sindhi santan hote

Jane kyu itna yaad aate ho aap,
Jane kyu dil ko itna lubhate ho aap,
Aap sa pyara dost na milega kabhi,
Kya isi liye itna bhav khate ho aap.

Tera dukh hum seh ne sakte,
bhari mehfil me kush keh ne sakte,
hamare girte aansu pakad ke dekh,
wo bhi kehte hai 'YAAR' hum tere bin reh nahi sakte.

Tum kya jano bewakuf dost kya hote hai,
Tum kya jano Pagal dost kya hote hai,
Kyoki tumhare dost to intelligent hai saali Kismat to hmari khrab hai.

Aapka SMS humesha khaas hota hai,
wo hamari dosti ka raaz hota hai,
hum bhale hi turant SMS na karein,
lekin fir bhi agle SMS ka intezaar hota hai.

Dil Se Teri Yaad Ko Juda To Nhi Kia
Rakha Jo Tujhe Yaad Bura To Nhi Kia
Hum Se Log Hain Naraz Kis Liye
Hum Ne Kabhi Kisi Ko Khafa To nahi kia.

Dost ka pyar kisi dua se kam nhi hota.
Wo chahe door b ho gum nhi hata.
Pyar me aksar dosti kam ho jati hai,
par dosti me pyar kabhi kam nhi hota.

Har dhadkan me 1 raaz hota hai,
har baat btane ka 1 andaz hota hai,
jab tak thokar na lage bewfayi ki:
har kisi ko apne pyar pe NAAZ hota hai..

Ho chuki raat bahut ab so bhi jao.
Jo hai dil ke karib uske khyalo me kho bhi jao.
Kar raha hai koi intzar apka.
Khwabo me hi sahi unse mil to aao.

Ho nahi sakta ki mujhko apki yaad na aye,
bhulkar bhi bhulne ka ahsas na aye,
aap bhulo to apki marji,
hum bhule to agli saans na aye.

Sub Dost Bewafa Ho Gye
Hum Apne Aap Se Khafa Ho Gye
Roz Ak Sms To Kar Diya KaroJalim
Varna Duniya Wale Samjhenge Hum Dono Dost Juda Ho Gye..

Zamee K Hr zarre ko aftab Kr denge.
Gulshan K Hr phool ko gulab Kr denge.
Hr pal intezar karoge Hamare SMS ka.
Aap ki adat Hum itni kharab Kr denge...

Kuch is tarha s wo mohabat ko nibha dete h,
hr din dil p ek jkham laga dete h,
yad karte nhi yad dilane pr b,
aur bhulne ka hum pr ilzam laga dete h.

Kuch Rishte Uparwala Banata hai,
Kuch Rishte Log banate hain,
Par kuch Log bina kisi Rishte ke hi Rishte nibhate hain,
Shayad Wahi dost Kehelate Hain.

Khusboo me ehssas hota hai,.
DOSTI ka rista khas hota hai,
Har baat zuban se kehna mumkin nehi...
Iss liye DOSTI ka dusra naam"VISWASH" hota hai..

Khamosh Chehre Pr Hajaro Pehre Hote He
Hansti Hui Ankho Me Jkham Gehre Hote He,
Jinse Ruthna Acha Lagta He
Unse Dil k Rishte Bahut Khash Hote He..

Kismat par apni aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majboorian hain mere dost,
Warna Doston ki judai se pyaar kisko hai.

Khuda ne mujhse kaha,"Bande DOST na bna
hamesha tu DHOKHA payega".
Maine kaha "aye khuda, tu msg padhnewale se mil to sahi,
tu v Dhokhe se DOST ban Jayega !

Jab Tutne lage Hosle to bas ye yad rakna,
Bina Mehnat k Hasil Takhte-Taj nhi hote,
Dhund lete hai Andhero me Manzil apni,
Qki Jugnu kabi Roshni K Mohtaj nhi Hote.

Jarurat na thi hame kuch batane ki.
nazar lag gayi mere pyar ko is jamane ki .
kabra se nikle dono mere haath ye kehte hue
tammana reh gai unhe gle lagane ki

Na to yadon ko yaad Rakhte hain.
Na hi sapno ko sath Rakhte hain
Hum to bas unko sms karte hain
jo humko dil ke pass Rakhte hain.

Jo sub dete he wo hum nahi denge.
Pyar jub bhi denge kam nahi denge.
Yakin na ho to aazma lena mere dost,
zindgi me kbhi tumhe gum nahi denge

Zara si bat dertak rulati rhi
Khushi me b ankhe ansu bhati rhi
Koi mil k kho gaya to koi khoke mil gya
Zindagi humko bas aise hi aazmati rhi. 

Kuch log dosto ko rula dete hai,
Dosti kitni anmol hai bhoola dete hai,
Dosti nibhana to koi gulaab se sikhe,
Jo khud toot kar Do dil ko mila dete hai


maine chaha hai jise wo lakho me ek hai,
jise jana hai maine wo dil ke bhi nek hai,
uski diwani to sari dunia hai,
lekin meri to dunia hi wo ek hai...

ye meri jindagi mujhse dga na kar,
mai jinda rahu unse bichhad kar ye dua na kar,
koe or dekhe unko to dard hota hai es dil me,
ye hwa ab tu bhu use chhua na kar.......

aapke duniya me koe gam na ho,
aapki shohrat or khushiya kabhi kam na ho,
ye dost bhagwan aapko aisi Item de
jo DABANG ke kisi munee se kam na ho..

Aanshu na hote to aankhe etni khubsurat na hoti,
Gam na hote to khushi ki koe kimat na hoti,
agar mil jata chahne se hi sab kuchh,
to khuda ki es duniya me koe jaroorat nahi hoti...

es rishte ko yu hi bnaye rakhna,
dil me yado ki chirag jlaye rakhna.

bahut pyara rha safar 2010 ka,
apna sath 2011 me bhi bnaye rakhna..


Ek Alag Si Pehchan Ban ne Ki Aadat Hai Ha
Zakhm H? Jitna Gehra Utna Muskurane Ki Aadat Hai
Sab Kùch Luta Dete Hai D?osti Me
Q K D?sti Nibhane Ki Adat Hai Hume

Wo Dil,Dil Nahin Hota, Wo Pyar,Pyar Nahin Hota,
Jo Chahat Mein Bekarar Nahin Hota
Thoda Tadapna.Thoda Machalna,
Tou Hai Mohabbat Ki Ada,
Jo In Raahon Se Na Guzre,
Wo Yaar,Yaar Nahin Hota.

Yeh Dil Ka Zakhm Tumne Diya Hai To Koi Baat Nahin,
Yeh Jigar Ka Dard Agar Tumne Diya Hai To Koi Baat Nahin,
Majaal Kiski Thi Ki Kehta Mujhe Deewana,
Magar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahin……

Kaun Kaheta Hai Tujhko Bhula Rakha Hai,
Tere Gulshan Ko Aaj Bhi Mehaka Rakha Hai,
Aakar Dhekh Ja Teri Yaadon Ke Zakham,
Phir Bhi Dhekh Teri Tasveer Ko
Aaj Bhi Seene Se Laga Rakha Hai

Kisi Ko Apni Khubiyo Ka Ehsas Nahi Hota,
Aap Jaise Dosto Ka Milna Itfak Nahi Hota,
Achha Kuchh Kiya Hoga Hamne,
Varna Aap Ho Sath Hamare,
Ye Visvas Nahi Hota


Aye dil kinare ko kinara na samajh,
Aye dil sahare ko sahara na samajh,
Barish aane par kinare toot jate hain,
Musibat aane par sahare chooth jate hain…

zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare

Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhool jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi dard mai,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.

Har zakhm kisi thokar ki meharbani hai,
Meri zindagi ek-kissa-ek-kahani hai,
Mita dete is dard ko dil se,
Par ye dard bhi to kisi ki akhri nishani hai…

Ek hi dua hai meri khuda se
kisika dil dukhe meri wajah se
khuda karde kuchh inayat aisy mujh pr
ki khushiya hi mile sabko meri wajha se……

Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!


Andhiya gam ki chalengi to bikhar jaunga.
main to dariya hun samundar me utar jaunga..
mujhe shooli pe chadhane ki jaroorat kya hai.
mere haathon se kalam chhen lo mar jaaunga !!!


Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..
Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..
Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..
Har roz magar jana acha nahi lagta..
Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..
Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta
Kya faisla karun us ke bare mai ab..
Wo gair nahi lekin Apna Bhi Nahi Lagta..!!


Khuda ne mujhse kaha ishq na kar
Tu diwana ho jayega.
Maine kaha,ae khuda tu msg padne
Wale se mil..
Tujhe bhi ishq ho jayega!

Paani se pyaas na bujhi,
Toh mehkhane ki taraf chal pada,
Socha ke shikayat karu teri khuda se,
Lekin khuda bhi tera chahanewala nikla!

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
Humne to chalaayi thi ret pe ungli
Gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi..

Gamo me hasne wale ko rulaya nahin jaata.
Lehron se paani ko hataya nahin jaata.
Banane wale ban jaate hain apne,
Kisiko kehkar apna banaya nahin jaata..

Aankhon ki zuban wo samajh nahi paate,
Honth magar kuch keh nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahen,
Koi hai jiske bina hum reh nahi paate.

Na jaane kyon abhi ek aansu aankh se jhalka,
Dil ko shayad aapki yaad aayi,
Chahat hai itni aap se milne ki,
Hanste hue bhi aankhen bhar aayi..!

Dil ki baat dil mein na rahe
Aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...
Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe!!

Mohabbat ki shama jalaakar to dekho
Zara dil ki duniya sajaakar to dekho
Tumhe ho naa jaye mohabbat to kehnaa
Zara humse nazrein mila kar to dekho...

Uban hi sirf ek zaria nahi,
Joaaap shabdon ko samajh paayenge.
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
Hazaro alfaz khud b khud bikhar jayenge.

dushmano me bhi dost mala karte hai
kanto me bhi phool khila karte hai
hame kaanta samajh kar bhula na dena
kante hi phoolo ki hifazat kiya karte hai


Muskura do jara khuda ke vaste
sama-e-mahefil mai rosni kam hai
tum hamare nahi too kya gum hai
hum tumhare to hai ye kya kam hai?
yeh khamosi ka razz hum jante hain
yun chup rahene ka andaz hum jante hain
yakeen nehi ata to apne dil se pucho
app se bahetar app ko hum jante hain
Raat gumanam hoti hai,
Din kisi ke naam hota hai,
Hum jite hai kuch is tarah,
Har lamha aapake naam hota hai.
Chale aao hum tumhe yaad karte hai,
ye woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hai,
jala ke dil me hasraton ke chirag,
apke aane ka intezaar karte hai.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Darte Hain Aag Se, Kahin Hath Na Jal Jaye…..
Darte Hain Waqt se, Kahin Der Na Ho Jaye…
Darte Hain Maut se, Kahin Hum Bichadd Na Jayen…
Darte Hain Aapse, Kahin Pyaar Na Ho Jaye………..
Yaad karte hain aapko tanhai mein,
Dil dooba hai ghamon ki gherai mein,
Humein mat dhoondo duniya ki bheed main,
Hum milenge aapko apki parchai main.
Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
Nadiyon se kinare chhut jate hai,
Asman se tare tut jate hai,
zindagi ki rah me aksar aisa hota hai,
jinhe ham chhate hai,wahi hum se ruth jate hai.
Jab bhi Aapko Phool dena chaha,
Kaanton ka Guldasta thama dala,
Par Aapke PYAR ka kya kehna,
Aapne Kaanton ko bhi Phool bana dala
Khila phool bagiya meheki
Yeh to duniyaka hai dastoor
Agar bhanware mandarane lage
To ismein phoolka kya kasoor?
Phoolko kya pata bhanwareki gunjanka
Woh to tha apnihi dhunmein choor
Agar bhanwareko lagta hai bura
To chala jaye woh us phool se door
Kal hum yaad tumhe aayenge
Dil me ek kasak chhod jayenge
Chah kar bhi pal lauta na sakenge
Dil ki kasak ko mita na sakenge.
Yaad tumhari jab aayegi
Ankh ashkon se bhar jayegi
Kahne ko to jindagi gujar jayegi
Par tumhari kami hamesha rulayegi

Mast Hindi Sayri

Har kasti ka kinara nahi hota,
jise karte hai pyar bas vahi hamara nahi hota,
Rota hoga sagar bhi kisi ke intzaar mai,
varna sagar ka pani itna khara nahi hota…..

**************


Mana ke ham izhaar nahi karte,
matlab ye nahi ki aapka khayal nahi karte,
mayoosi mai beet jate hai vo din,
jis din aap hamse baat nahi karte…

**************



Kabhi insaan galat ya sahi nahi hota,
waqt use galat ya sahi bana deta hai,
koi dekhta hai kichad mai kamal,
kisi ko chand mai bhi daag nazar aata hai….

**************



Dard mai har koi muskura nahi sakta,
apne dil ki baat mai sabko bata nahi sakta,
ye roshni lene walo khud mehsus kar lena,
chirag jal sakta hai lekin apni taklif bata nahi sakta...

**************



Fasle hote nahi banaye jate hai,
meelo door rehkar rishte nibhaye jate hai,
dikhave se zIndagi nahi chalti,
kyunki kuch rishte bharose se nibhaye jaate jate hai…..

**************



Har gum ki dawaa nahi hoti,
kya hota jo dua nahi hoti,
Be-khuaff log tod dete hai dil,
ye soch ke ki is jurm ki koi sazza nahi hoti….

**************


Koi shikayat ho to bata dena,
khata ho to saza dena,
agar dil kare hamse door jane ka,
to khuda ke liye use majboori ka naam bata dena……

**************



Anjane mai ham apna dil gawa bethe,
is pyaar mai kaisa dhoka kha bethe,
unse kya gila kare bhool hamari hi hai,
jo bina dil walo se dil laga bethe…….

**************



Tu nahi to duniya mai kya reh jayga,
door tak tanhaiyu ka silsila reh jayga,
har kadam par sath chalna dost,
warna aapka ye dost tanha reh jayga…….

**************



Khusiyo se naraz hai ye zindagi,
pyaar ki mohtaaz hai ye zindagi,
has lete hai logo ko dhikhane ke liye,
warna dard ki kitab hai ye zindagi……….

**************

Mushkilo me hosle ko aajmana sikh lo,
dard mai bhi yaar gungunana sikh lo,
char din ki zindagi hai 400 hai hafte,
har khusi ko yaad rakho gum bhoolana seekh lo…..


vo samjhte hai ki ham maghrur hai,
par sach mai ham sirf majboor hai,
nahi jante vo hamare hai ya nahi,
par itna jante hai k hum unke jarur hai.


Bade ajeeb hai ye zindagi ke raste,
anjane maode par kuch log dost ban jate hai,
milne ki khusi de ya na de,
bechadne ka gum jarur de jate hai.


Agar zindagi k kisi mod par aapko koi faisla karna ho,
to apne dil ki baat sun lena, kyunki dil bhale hi LEFT hota hai,
par vo hamesha RIGHT hota hai.


Gunah karke saja se darte hai,
zehar pikar dua se darte hai,
dushman ke sitam ka khof nahi,
ham to dost ke khafa ho jane se darte hai.


farq hota hai khuda or peer mai,
farq hota hai kismat or taqdeer mai,
agar kuch chaho or na mile, to samjh lena ke,
kuch or acha likha hai takdeer mai.


Annkho mai aansu jab aate hai yaad kisi apne ki dilate hai,
kasoor nahi inme in aankho ka,
bas akelepan mai ye aansu sath dene chale aate hai.


Hamare dil ki gehrai ko koi samjh paya hi nahi,
waqt hamare liye koi nikal paya hi nahi,
kya mehsoos hogi kisiko kami hamari,
jab khuda ne hame aisa banaya hi nahi.


sukun apne dil ka maine kho diya,
khud ko tanhai ke samundar mai doobo diya,
jo thi kabhi mere muskurane ki wajha,
aaj usi ne meri palko ko bhigo diya.


Wo pyar ke riste ab kaise kaise ho gaye,
kabhi ham aapke dost the ab aise vaise ho gaye,
agar ab bhi aapka jabab na aaya to samjhyenge
HUM se pyare aapko PAISE ho gaye.


koi peeta hai koi pilata hai,
koi pee k ladkhadata hai,
ye jaruri nahi ki har vo shaks khush ho,
jo har waqt muskurata hai.


Who to diwani thi mujhe tanha chod gai,
khud na ruk saki to apna saya chod gai,
dukh nahi gum is bat ka hai,
aankho se karke waada bataon se tod gayi……..


Kafi hai sapne dil ko behlane ke liye,
dosti karlo dil dhakane ke liye,
chahe pade gumo se wasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gumo ko bhulane ke liye.


Remember the time when we used to say,
" let's meet and plan something, Now r the days wher we say,
"Let's plan n meet someday" friend are same,
priority change…………


khusi mili par hass na sake,
gum mila par ro na sake,
zindagi ki yahi dastan hai,
jise chaha use paa na sake, or jise paya use chaha na sake….


Is kadar ham yar ko mnane nikle
uski chaht ke ham diwane nikle
jab bhi use dil ka hal batana chaha
uske hotho se waqt na hone ke bhane nikle


zindagi phool si muskurati rahe,
har khusi aapke daman mai jagmagati rahe,
khuda se dua haito bas itni,
kabhi kabhi aapko bhi hamari yaad aati rahe…….


badal garza magar barsaat nahi aai,
dil dhadka magar awaaz nahi aai,
bina hichki ke guzar gaya aaj ka din,
kya ek pal ke liye bhi aapko hamari yaad nahi aai…..


tumse door rahne ka iraada na tha,
sada sath rahne ka bhi vaada na tha,
tum yaad na karoge ye jante the ham,
par itni jaldi bhool jayoge ye andaaza na tha….


yaad ham bhi aapko karte hai,
yaad aap bhi hame karte ho,
farq sirf itna hai ham yaad aane par sms karte hai or aap sms aane par yaad……….


Ruthe hue ko manna zindagi hai dusre ko hasana zindagi hai,
koi jeet kar khush hua to kya hua,
sab kuch har kar muskurana bhi zindgi hai…


Bohat udaas hai koi sake to luat aa kisi bhane se,
to lakh khafa sahi magar ek baar to dekh.
Koi toot sa gaya hai tere ruth jane se.


Dua hai teri dunia mai koi gum na ho,
dua hai ki teri muskaan kabhi kam na ho,
agar teri palko mai kabhi aansu aaye to,
dua hai uski wajha kabhi ham na ho…….


zindagi mai kabhi kuch chaha hi nahi,
jisko chaha usko kabhi paya hi nahi,
jis jis ko paya unhe kuch yu kho diya,
jaise zindagi mai kabhi koi aaya hi nahi……..


Shikayat hai aapse yeh hamari ki ab yaar nahi aati aapko hamari,
bhool gaye sayad aap hame ya fir aap yaad karte the ye galat fehmi thi hamari.


Dard mai koi mosam pyara nahi hota dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,
koi dekhe to sahi hamari bebasi hum sabhi ke ho jate hai par koi hamara nahi hota…..


Keemti palo ko yu na bitana,
haste rahna ro kar hame na rulana,
mai yaad hu aapko itana hi kaafi hai,
kabhi bhool bhi jana to mujhe na batana….


koi na mila jispar dunia luta dete,
sab ne diya dhokha kis kis ko bhoola dete,
dil ka dard dil mai daba rakha hai,
bayan kiya hota to mehfil ko rula dete…..


Kanch ka tohfa na dena kbhi kisi ko,
ruth ke log tod diya karte hai,
jo bhut ache ho unse pyar na karna,
aksar ache log hi dil tod diya karte hai….


Dil ke aangan se chand ka didar ho gaya,
hum diwane hue chand badlo mai kho gay,
hamne badlo ke hatne ka intzar kiya,
tab tak chand kisi or ka ho gaya…

Posted by Tinku Kumar at 4:22 AM 0 comments
Tuesday, October 20, 2009
mohobat vo hai jo satati hai,
najuk se dil ko tadpati hai,
na karna mere yaar kabhi tum mohobbat kisi se,
kambhakt ye vo hai jo hasti aankho ko rulati hai.



zindagi mai har pal ko khushi se beeta do,
chahe kitna ho gum dil se muskura do,
kuch aise jiyu zindagi ye mere dost,
har lamhe ko yad nahi yaadgaar ban do…



tham lena hath kabhi picche jo chuth jau,
manna lena mujhe kabhi tum se jo ruth jau,
mai chup hi sahi par vo tara hu jo teri har aarju ke liye tut jau…



nikli pyaar ki baat to tum yaad aaye,
uthe dil mai vo jazbat to tum yaad aaye,
yu to dil mera bebas na rahta tha,
par badle jab hallat to tum yaad aaye…



vo pass aate to ham baat kar lete,
sath rahte to ham pyaar kar lete,
kya majboori rahi hogi jo vo chale gaye,
wajha batate to ham intzar kar lete…



aisa nahi ki aap yaad aate nahi,
khata sirf itni hai ki ham batate nahi,
rista aapka anmol hai hamare liye,
samjhte hai aap isliye ham jatate nahi…



apne karam se vo mera mukadar likh gaye,
ek boond ko ek pal mai samundar bana gaye,
phoolo se nazuk tha kabhi dil mera,
itna tadpaya ke pathar bana gaye…



in ankho mai aanshu aaye na hote,
jo peeche mudkar muskuraye na hote,
unke jaane ke badd ye gum hota hai,
kaash bo zindagi mai kabhi aaye na hote…



bhule ye bo kuch is tarha hame,
ki unhe samjhana bhi muskil ho gaye,
kya pata koi khata ho gai hamse,
ya koi or unke jyada karib ho gaya…

Posted by Tinku Kumar at 6:55 AM 0 comments
Saturday, September 5, 2009
chahat ke kinare tut jate hai,
bhut rota hai aasman jab sitare tut jate hai,
zindagi mai aksar aisa hota hai,
jinhe ham yaad karte hai na jane vo hame kyu bhool jate hai.




guzre dino ki bhuli hui baat ki tarah,
aankho mai jagta hai koi raat ki tarah,
tumse ummed thi ki nibhaoge dosti,
par tum bhi badal gaye meri halat ki tarah.




koi dost naya or purana nahi hota,
zindagi ka har pal suhana nahi hota,
juda hona to kismat ki baat hai,
par judai ka matlab bhulana nahi hota.




har insan ko sab kuch nahi milta,
nadi ki har lahar ko sahil nahi milta,
ye dil walo ki dunia hai dost,
kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.




dil tootne par bhi hasna sayad zindadili isi ko kehte hai,
thokar khakar manzil ke liye bhatkna sayad talash isi ko kehte hai,
kisi ko chah kar bhi na batana sayad chaht isi ko kehte hai,
kisi ki khusi ke liye dard sahna sayad himmat isi ko kehte hai,
ye zindadili ,talaash, chaht , himmat, mere khayal se zindagi isi ko kehte hai




bhoolna tumhe na asaan hoga,
jo bhoole tumhe vo nadaan hoga,
aap to baste ho ruh mai hamare,
aap hame na bhoolna ye aapka ahsaan hoga.




band aankho mai bas sapne hote hai,
dunia mai bhut kam log apne hote hai,
apne hi jab bhool jate hai to lagta hai sapne to bas sapne hote hai.




gile sikwa na dil se laga lena,
kabhi maan jana to kabhi manna lena,
kal ka kya pata ham ho na ho,
jab bhi mauka mile thoda has lena thoda hassa lena.




kagaz ki kasti thi pani ka kinara tha,
khelne ki masti thi dil ye awara tha,
kaha aa gaye is jawani ki daldal mai,
vo bachpan kitna pyara tha.




aarzu e dil ne hame diwana kar diya,
roye na the ham kabhi aap ne rula diya,
hamne to har vaqt yaad kiya aapko,
par aapne hi yad karte karte zamana laga diya.




Us se kaho Ek Bar bhool Kar aa jae,
Jo beeti hai Us per woh Suna jae.
Hans hans ke Ghum chupane ka hunar,
Us se kaho Hum ko bhi Sikha jae.
Us ki yaad mein Tarapta rehta Hoon har pal,
Us se kaho Mere dil se Apna naam Mita jae.
Barso huwa Hai Chand Ko dekhe Huye,
Us se kaho Apna chehra Dikha jae.




jhakam jab mere sine ke bhar jaynge,
aanshu bhi moti ban kar bhikhar jaynge,
ye mat puchna kis kis ne dhokha diya,
varna kuch apno ke chehre bhi utar jaynge.



andaaz nighaho ka zuban par aayga,
us din tumhe chehra hamara yaad aayga,
pachtaoge tum us din,
jab ye tang karne wala dost tumse door ho jayga.




yaar ki yaari khub sataygi,
akele mai ek din khub yaad aaygi,
us din kadar karoge yaar ki,
jis din yaar ki jindagi khatam ho jaygi.




jeena chahte hai par zindagi raas nahi aati,
marna chahte hai par maut pass nahi aati,
bhut udaas hai ham apni zindagi se,
or kismat bhi hai jo tadpane se baaz nahi aati.




kasti tufaan se nikal sakti hai,
shama bhujh ke bhi jal sakti hai,
mayush na ho irade na badal,
kismat kisi bhi vaqt badal sakti hai.




zara se zindagi hai arman bhut hai,
hamdard nahi koi par insan bhut hai,
dil ka dard sune ya sunaye kisko,
jo shaks dil ke karib hai wo anjaan bhut hai.




us paar hi sahi kinara to hai,
timtimata hi sahi sitara to hai,
ho jati hai aapki yaad se hi tassalli,
door hi sahi koi hamara to hai.




rista hamara is jahan mai sabse pyara ho,
jaise jindagi ko saanso ka sahara ho,
yaad rakhana ham us vaqt bhi,
jab aap akele ho or koi na tumhara ho




manzile bhut hai afsaane bhut hai,
rahe zindagi mai imtihan aane bhut hai,
mat kar gila uska jo na mile tujhe,
is dunia mai jeene ke bhane bhut hai.




nasibo ke khel ajeev hote hai,
chahne walo ko aansu hi nasseb hote hai,
kaun hona chahta hai apno se door,
par bichad jate hai vo jo sabse karib hote hai.




mohabbat ki sazza bemisal di usne,
udaas rahne ki aadat si daal di usne,
maine use jab bhi apna banana chaha,
bato bato mai baat hi taal di usne.




nazar milake hamse nazar chura mat lena,
dost banke hamko dusman bana mat lena,
mana ki ham dur hai aapse,
isi baat ka bhana banakar hamko bhoola mat dena




vaqt mile tab yaad karte ho,
mood hua tab baat karte ho,
ek jamana tha jab aap itne sms call kiya karte the,
ab to yaad bhi hamare baad karte ho.




koi khawab in aankhone sajaya hi nahi,
hamari dil ki gehrai ko koi samjh paya hi nahi,
kisi ko mehsoos ho kami hamari,
khuda ne hame is kaabil banaya hi nahi.




sheesha jaisa hai dil jane kab toot jaye,
sath hi to hai jaane kab choot jaye,
aap hamari dosti ki itni aadat mat daliye,
zindagi hi to hai jaane kab rooth jaye

Posted by Tinku Kumar at 6:10 AM 0 comments
Thursday, August 13, 2009
sayad fir se vo takdeer mil jay,
jivan ka sabse hassen vo pal mil jaye,
chal fir se banay barish mai kagaz ki kasti k naav, sayad vapas apna bachpan mil jaye...........




zindagi ka raaz tanhai mai paa liya,
jiska v mila gum apna bana liya,
gum hamara jab sunne ko koi na mila,
to rakha aaina samne or khud ko suna liya......





zindagi k is mod par ye kaisa waqt aaya hai,
ruk si gai hai saans or dil ghabraya hai,
har kisi ka akelapan dur ki hamne ,
aur khud ko har mod pe akela paya hai,........






kya hu mai or kya samjhte hai mujhe jamane wale,
har raaz hote nahi batane wale,
kabhi fursat mile to tanhaiyo mai aakar dekhna ,
kaise rote hai sabko hasane wale...........




do kadam to sab sath chal lete hai,
zindagi bhar ka sath koi nibhata nahi,
ham to de sakte hai aapke pyar mai jaan v,
magar aapka pyar hame kabhi nazar aata hi nahi....






khab hamne dekha abhi abhi,
ankhe khuli abhi abhi,
sath 1 apne ka mila abhi abhi,
ho sake to yaad rakhna hame,
hamesha nahi to kabhi kabhi...........




kuch is tarah aap hamse dur ja rahe ho,
milo tak na aap hame nazar aa rahe ho,
1 muddat se na bheja koi paigam aapne,
majboori hai koi ya aap hame bhoola rahe ho..........





khud se zara sambhalna seekho ,
apna dukh chipana seekho,
dard yaha sab ko hai dost,
par dard mai bhi muskurana seekho.......





hamko na dil se juda karna,
hame bhool jao ye na gunha karna,
kuch pal beet jaye baat kiye bagair
magar zindagi na beet jaye dua karna.....



yado ka ye silsila banay rakhna,
dost kaha hai to dosti nibhaye rakhna,
jaan to nahi mangenge aapse,
gizarish hai jaan pehchan banaye rakhna..




jaane kis baat ki saza deta hai,
meri hasti hui aankho ko rula deta hai,
ek muddat se khabar nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dosto ko bhoola deta hai....





koi khab in aankho ne sajaya hi nahi,
hamari dil ki gehrai koi samjh paya hi nahi,
kisi ko mehsoos ho kami hamari,
khuda ne hame is qabil banaya hi nahi......





ek din aisa bhi koi silsila ho jayga,
jis taraf chaloge rasta ho jayga,
suno is kadar dooriya achi nahi,
is tarah to dheere dheere fasla ho jayga.........
==========================================

Chand adhura hai sitaro ke bina,
Gulshan adhura hai bahaaro ke bina,
Samundar adhura hai kinaro ke bina,
Jeena adhura hai tum jaise yaaro ke bina......

Shikayat Na Karta Zamane Se Koi,
Agar Maan Jata Mananay Se Koi,
Ankho Me Koi Ansu Dard Ban K Na Rahta,
Agar Bhool Jata Bhulanay Se Koi.. !

Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge

Tere AkelPan me sath tera Nibhaynge
teri Tanhiyo me tere pass hum aaynge
Tu ek baar Mujhe awaz dekar to dekh
Khud ro kar b tujhe Hasaynge


Dil se Teri Yaad ko Juda To nhi kiya
Rakha jo Tujhe yaad bura to Nhi Kiya
Hum se aap hai Naraz kis Liye
Hum ne Kabhi aapko khafa to nhi kiya

Kisi ki katil adao ke hum mare hai,
isliye log kahte hai hum bichare hai,
sangam to hota hai har ek lahro ka ek hi samandar main,
phir kyu har ek ke alag alag kinare hai.

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab toa forever ho tum…

Pyaar To Jindagi Ka Afsana Hai ,
Iska Apna Hi Ek Tarana Hai ,
Pata Hai Sabko Milenge Sirf Aansu ,
Par Na Jaane Duniya Me Har Koi Kyu Iska Diwana Hai 

Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Matt kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi koi bahata bhi nahi,
Is kadar akele hai dilki raho mei,
Koi satata bhi nahi , Koi manata bhi nahi

Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan…

Aaj phir aaina poochta hai,
Ke teri aankhon mein nami kyon hai
Jiski chahat mein khud ko bhula diya,
Uski chahat mein kami kyon hai

Pahli mohabbat mein khata kar raha hoon
Kisi bewafa se wafa kar raha hoon
Woh thukraaye to kya hua mere khuda
Tu hi mila de duaa kar raha hoon

Agar yaad tumko na rahe apna janmdin
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin
Main kabhi na bhulonga apne yaar ka janmdin
Chahe woh ho mera akhri din
Aapko jaroor mera yeh msg. milega
Jispe likha hoga ā€¯ mubarak ho aapko aapka jamdinā€¯

Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis duniye tumhe dharti pe bheja hamare liye
Naa jaane kyon main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umr ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis k liye

Aa teri Umar mein likh du chand sitaaro se
Tera janam din mein manau phoalo se bahaaro se
har ek khubsurti duniya se mein le aau
Sajaau yeh mehfil mein har haseen nazaaro se

Tohfa-e-dil de du ya de du chand taare
Janam din pe tujhe kya du yeh puche mujh se saare
Zindagi tere naam kar du bhi toh kam hai
Daaman mein bhar du har pal khushi ka mein tumhare


Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai,
Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga. Happy Birthday

Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai,
Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga. Happy Birthday



Hum aapke janamdin par dete hain yeh dua
Hum aur tum milkar, honge kabhi na juda
Jivan bhar sath denge apna he ye vaada
Tuj par apni jaan bhi denge, apna he ye irada


Tohfa-e-dil de doon ya de doon chand tare
Janam din pe tujhe kya doon ye poche mujh se sare
Zindgi tere naam kar doon bhi to kam hahi
Daaman mein bhar doon har pal khushi ko main tumhari..

Phoolon ki sugandh se sugandhit ho jeevan tumhara
Taron ki chamak se sammilit ho jeevan tumhara
Umr aapki ho suraj jaisi
Yaad rakhe jise hamesha duniya
Janmdin mein aap mehfil sajayein aap aisi
Subh din ye aaye aapke jevan mein hazaar baar
Aur hum aapko ā€¯Janmdin Mubarakā€¯ kehte rahein har baar..


Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon ke rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti

Dosti ki tadap

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.

Jasda-e-dost nakam

Jasda-e-dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par aye dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!

Dua karte hain

Dua karte hain hum Sarko jhukaye
Ae dost tu apni Manzil ko paye
Agar kabhi tere Raahon mein Andhera aaye
Roshni ke liye khuda hum ko Jalaye

Hasraton ki Nigaaho

Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai…

Aaj Rootha Huwa ik Dost

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya…..

Yeh Hamari Kismat

Yeh hamari kismat hai ki aap hame dhost kahete hai
dur hokar bhi yaad karte hai
waqut aane pur hum bhi dikha denge
ke dosti ka hakk kaise ada karte hai

Jab Paas Ho

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna……

Mushkilo Se Ghabra Ke

Mushkilo se ghabra ke ab jeena nahi chahte,
Dur tumse hoke ab rahna nahi chahte,
Yun to dost bahot bane is zindagi mein,
Par tuz jaise dost ko khona nahi chahte….

Uss Nazar Se

Khud ko khud ki khabar na lage,
Koi accha bhi is kadar na lage
Aap ko dekha hai bas uss nazar se,
Jis nazar se aap ko nazar na lage….

Mohbbat Karna

Mohabbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se
Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum thy chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaye….

Chandni Raat Thi

Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya

Bolaa Dukaan Daar

Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
Maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
Bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge

Kuch Kuch Hota Hai

Exam paas aaye, sir mera dukhaye
Teacher ne na jaaane kyun, dande dikhaye,
Ab to mera sir, jaage na sota hai,
Kya karoon haye, kuch kuch hota hai….

Tairna Hai To

Tairna hai to samundar mein tairo,
Nadi naalo mein kya rakha hai,
Mohabbat karni hai to apne watan se karo,
In bewafa hasino mein kya rakha hai……

Fer Ki Hoyeya

Fer ki hoyeya je tu hatha te mehndi la layi
Hun assi vi Sehra sajavange,
Saanu pata si ki tu saadi kismat ch nahi,
Hun teri choti bhen fasavange!!!

Sahrab Dard ki Dawa

Shraab dard ki dawa hai
Peene se koi khraabi nahi
Dil ke dard se peete hain
Waise hum Shraabi nahi…

Aey Chaand

Aey chaand, tu bhi kiya ghazab dhaata hai,
Bachpan main “mama” aur jawaani main “yaar” nazar aata hai.

Chaand Ko Garoor Hai

Chaand ko garoor hai
ki uske pass noor hai to kya hua
Mujhe bhi garoor hai
ki mera dost Langoor hai

Bhuto Sa Chehra

Bhuto sa chehra tera
Chudeel si muskan hai
Rang tera dekh ke… rup tera dekh ke
kutte bhi hairan hai

Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai

Chaman ko Chaman

Chaman ko chaman ki baharo ne loota,
Kashti ko safar ke kinaro ne loota,
Aap toh ek hi kasam se dar gaye mere dost,
Hame toh aapki kasam dekhar hazaro ne loota.. ā€¦

Phoolon Se Jaise

Phoolon se jaise yeh bhavrey Jaise mehak chura rahe hain;
Chaand ko jaise yeh badal Chupa rahe hain;
Andhere hazaron jaise Roshni ko mita rahe hain;
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain….

Khwaabo Ki Duniya

Khwaabo ki duniya kyun Humko sata rahi hai;
Yaadon ki dastak kyun Humko bula rahai hai;
Tanhayian kyun itani Kareeb aa gayi hain;
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain

Jab Kabhi Lage

Jab kabhi lage ki
Ab aur nahin chal sakte
Ban ke saya jo tumhaare saath chaal hai
Us khuda ko zara dekh lena
Ishq to raah hai,
Ae Musafir
Ise manzil na samajh lena…

Ghul Mill Jaane Ki

Sab se ghul mill jaane ki aadat hai humen,
Apni alag pehchan banane ki aadat hai humen,
Jitna koi gehra gam deta hai,
Utna hi meetha muskurane ki aadat hai humen.

Mat Muskurao Itna

Mat Muskurao itna,
Ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye…….

Uss Nazar Se

Khud ko khud ki khabar na lage,
Koi accha bhi is kadar na lage
Aap ko dekha hai bas uss nazar se,
Jis nazar se aap ko nazar na lage….

Ek Gulab Hoon

Ek gulab hoon jo khila nahi
Meri chahat ka koi sila nahi
Phir bhi yeh dil dua de tumhe
Tumhe zindagi mein woh sukh mile,
Jo mujhe kabhi mila hi nahi.

Toot Kar Bikhar Gaye

Palkon ki nami mein chupa kar sapno ko
Humne unhe jaane ki ijaazat de di
Hum toot kar bikhar gaye tukron mein
Aur unhe muskraane ki ijaazat de di…

Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki…
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi;
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi;
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!

Jaan Se Bhi Zyada

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the

Pyar Mat Karna

Koi achha lage to use pyar mat karna,
Uske liye apni neenden bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intejaar mat karna

Intezaar Hamse Hota Nahi

Intazar hamse hota nahi,
Izhar me zamana lagega,
Mere ishq ko tum kya jaano,
Pyar me to parvana hi jalega.

Dur Na Jaaya Karo

Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai,
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai,
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse,
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai.

Ek Ajnabi Se

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezaar kyon hai.!

Yaado Ka Ye Karawa

Yaado ka ye karawa hamesha rahega……
Door jaate hue bhi pyaar wahi rahega…..
Maff karna mill nahi sake apse……
Magar yakin rakhana in ankhion mein intezar wahi rahega.

Chale Aao Tum

Chale aao tum! ke hum yaad karte hain,
Yeh woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hain,
Jala ke dil me hasraton ke chirag,
Aapke aane ka intezaar karte hain.

Pyaar To Jindagi Ka Afsana Hai ,
Iska Apna Hi Ek Tarana Hai ,
Pata Hai Sabko Milenge Sirf Aansu ,
Par Na Jaane Duniya Me Har Koi Kyu Iska Diwana Hai …

Ishq koi cheez

Ishq koi cheez nahi dil parchaan di
ishq ta kala hai dil lgaan di
ishq da soda kade keeta nahi janda
eh oh jaam hai jo peeta nahi janda
ki samjhava main oos bedard nu
ishq ho janda hai kade keeta nahi janda

Soh rab di

Soh rab di tenu pyar kita
hor kise nu kade bulaya vi nayi
tenu apni samaj ke dil dita
hor kise te dil kade aaya hii nahi
pyar tere de butte nu pani laya
hor butta pyar da laya hi nayi
teri yaad vich rehnda main sher likhda
hor aj tak sher banaya hi nahi
tu keh pagal ya keh chhalla
gusa gallaa teriya da kade aaya hii nahi

Ek Ada Aapki

Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki…
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi;
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi;
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!

Pyar ka rang

pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai

Ek na ek shamma

Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!

Patthar ki iss duniya main

Patthar ki iss duniya main
Sheeshe kay dil aksar toot jaya karte hai,
Aye dost, aankhe sambhalkar band karna,
Kyonki palkon ke beech bhi aksar khwab mit jaaya karte hai

Mohabat ke bina

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai…

Zufain Teri

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Yeh Nadani

Hui hum se yeh nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho…

Kisi ki katil adao ke hum mare hai,
isliye log kahte hai hum bichare hai,
sangam to hota hai har ek lahro ka ek hi samandar main,
phir kyu har ek ke alag alag kinare hai.

Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab toa forever ho tum…..

Ishq wich bhijna

Ishq wich bhijna koi khel nahi hunda
bina bhijeya rooha da mail nahi hunda
mail ho je ta eh juda nahi hunda
ishq rab hai ishq da koi khuda nahi hunda

Ibaadat rabb di

Ibaadat rabb di te chehra yaar da howe,
sajde khuda di te rasam pyaar di howe,
aashiqaan de mazhab di ki dassiye,
zikar rabb da te gal dildaar di howe.

Jab Se Hua Hain

Jab Se Hua Hain Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Raat kya dhali

Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye.
Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye
Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi,
magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye….

Yaar tera muskurana

Yaar tera muskurana khoob hai,
Vekh kay nazran churauna khoob hai,
Duur hoyi see jivein milna nahi,
Duur jaa kay paas auna khoob hai,
Hosh mainu hun apna reha nahi,
Mast nazran chon pilauna khoob hai,
Unjh tan bhavein har adaa katil teri,
Teer nazran day chalauna khoob hai,

Aankhon Ki Zubaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan unhe….

Tumhain Kya Malum

Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Harr Phool Ki

Harr phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna pyaar ki nishani hai..
Kahi koi zakham nahi hai phir bhi kyon yeh dard ka ehsaas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke paas hai….

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…….

Khiyaalon Ki Duniya

khiyaalon ki duniya ko bhool jayo
agar sulgata hai dil tou uss par dhool payo
kambakhat pyar ko na uksayo
jo kismat mein na likha ho
uske peeshe baar baar ne jayoā€¦.

Ishq Toa Raah Hai

Iss raah mein bahut saathi mil jayenge
Waqt ke saath shayd who bhi choot jayenge
Bass karma ik khayal
Kissi khoobsurat saathi pe Yeh dil na kurbaan kar dena
Ishq toa raah hai, Aye Musafir
Ise manzil na samajh lena.

Mitti Waangh

Saadi rol zindagi mitti vich
ajj kishtan vich oh rulde ne
saade hosh bhulaake sadkan vich
kinjh roliya jindre khulde ne
koi rab raakha koi alla kehke
sir te rakhda hath jiha
mainu ajj b chete ounda eh
mainu chup karounda kath jiha
sach kiha siyaane santa ne
dukh ounda jaanda b kadey
par manno dukh da saathi oh
jo dukh b paa ke hass piya
iss duniya vich na ghar mera
kabran vich ghar bnaawa ge
us din “sabi” di jitt hovey
har khoya rishta paawa ge…….

Pyar Di Sazaa

pyar di sazaaā€¦
kade kol aa gaye kade door ho gaye,
ona ikk waar na mud ke takkeya sanu, par assi ode layi bewaffa zaroor ho gayeā€¦
ki galti hoyi saathon assi puchde rahe,,
ohh kehnde assi majboor ho gaye,,
assi mangte rahe duavan usdi khushi diyaan ohh saanu chad kisi hor diyan akhan de nooor ho gaye,
ohh sochde rahe khush haan assi,, par assi tutt ke choor ho gaye,
sanu mili pyaar karan di ohh sazaā€¦. te ohh maarr ke vi sanu,
bekasooor ko gayeā€¦.

Oh Aunde Aunde Mudge

Oh Aunde Aunde Mudge Sadi Zindagi Cho,
Din Teeyan Warge Turge Sadi Zindagi Cho,
Supne Sunehri Rakhe Si Bade Sambh Asi,
Sab Hanju Ban Ke Rudge Sadi Zindagi Cho,
Halata De Ambra Vicho Aisi Dhup Chamki,
O Kache Rang Wangu Udd Gaye Sadi Zindagi Cho,
Har Gal Naal Jo Tere Tere Kehnde Si,
Gairan De Hisse Judge Sadi Zindagi Cho,
Skikwa Nai Os Rabb Utte Sab Kuj Mileya Mainu,
Bas Ohi Kalle Thudd Gaye Sadi Zindagi Cho. . . .

Aankhon Ki Dehleez Par

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Tanhai Ne

Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gum ye nahi hai ki woh bhool gaye humko
Gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!!!!

Aaj Kal

Apne bhi dil se nahin bolta koi aaj kal,
Pyar ko bhi thukrata hai har koi aaj kal,
Kisiko bhi kisise juda hone ka gham nahin,
Apno ko bhi bhula deta hai har koi aaj kal

Tanhahiya

Tanhaaiya gungunane lagi
Har saans tumhara naam leti rahi
Har waqt tera intezaar karti hai
Aur tum naa aaye mere jeevan mein phir kabhi.
aur phir kya hoona tha bus sainsse wahi par tham gayi!!!

Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai

Masti Aankhon Me

Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi…
Bhakti shraddha me hoti hai…shabdon me nahi..
Tu bhi jaan le mere dost…
Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi…

Ranjhe Ko Heer Ne

Ranjhe ko heer ne nakam kar diya
Sharabi ko sharab ne badnam kar diya
Ishq ho ya sharab, dono ka asar dekh lo
Ranjhe aur sharabi ka, eksa anjaam kar diya

Hum Bhi Bane Hain Shayar

Hum bhi bane hain shayar hoke ishk me nakam,
Humne bhi kiya hai naam hoke ishk me badnaam,
Pyar me unke hame do niyamate mili,
Ek hath me kalam hai duje hath me hai jaam…………

Hath Mein Jaam Hai

Raat Chup Chap Hai Par Chand Khamosh Nahi,
Kaise Kah Doon K Aaj Phir Hosh Nahi,
Aisa Dooba Hoon Main Tumhari Aakhon Mein,
Haat Mein Jaam Hai Par Pine Ka Hosh Nahi…..

Sahrab Dard ki Dawa

Shraab dard ki dawa hai
Peene se koi khraabi nahi
Dil ke dard se peete hain
Waise hum Shraabi nahi…

Teri Ankhon Se

Teri ankhon se aesi sharab pee maine
Ke phir na kabhi hosh ka daava kiya kabhi maine
Woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi
Nigah-e-yaar se payi hai zindagi maine…….

Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai…….

Tu Dekh Ya Na

Tu dekh ya na dekh,
Tere dekhne ka ranj nahi,
Par teri ye na dekhne ki adaa,
Dekhne se kam nahi..

Muskurati Raho

Tum Hansti Raho
Hansti raho,
Hansti Raho ,
Muskurati Raho
Sada hasti Raho,
Khush Rhao,
Mera Kya Hai,
Log Tumhain Hi Pagal Kahein gay..

Tumse Se

Tumse se dosti karna ek etefaaq ki baat ti,
aur
Tumse se milna ek kuahish ti,
aur
Tumse dosti nebana ek wafadari ti,
aur
aur
SMS karna tu ek kuwab ta,

Dil Tod Diya

Jis jis ko humne chaaha,
un sab ne dil tod diya,
toota hai dil itni baar ke,
dil ne ab dhadkana hi chhod diya.

Koi Majburi Nahi Je Dil Kare Ta Yaad Kari,
Ristiya Di Bheed To Fursat Mile Ta Yaad Kari,
Hai Dua Ke Hove Har Khushi Naseeb Tainu,
Pher Vi Je Akh Teri Bhare Ta Yaad Kariā€¦.

Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,
Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko…
Chedega mehfil me zikar hamara koi,
Toa chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko…

Chirag se andhere door ho jate,
Toa chand ki chahat kise hoti,
Katt sakti akele yeh zindagi toa
Dosti naam ki ye cheez hi kyo hoti?
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
Hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
Tum kyo chale atte ho?

Zindgi sapno ki nahi haqiqat ki jiya karo,
qki sapno main sirf phool khila karte h.
wo phool tumhe kya zindagi denge
jo khud Do din jiya karte h.

Dil ko kisi ahat ki as rehti he,
Nigaho ko kisi surat ki pyas rhti he.
Tere bina zindgi me kami to nhi,
Phir bi tere bina zindgi udhas rehti he.

Sangeet ke saath aawaz..
Phool ke saath khusbu..
Jism ke saath rooh..
Khusi ke saath gham..
Aapko tang karne ko hum..
Har lamha har dam.. :)

Zindagi ek hasin khwab he,
Har khwab ko Manzil nahi milti,
Tut kar bikhar jate he wo Rishte,
Jinhe koi Zanzir nahi milti.

Har nami me kuch kami to rahegi
Ankhen thodi shabnamito rahengi.
Zindagi ko aap kitna bhi sawariye,
Bin hamarekoi na koi kami to rahegi.

Koi Na Mile To Kismat Se Gila Nhi Krte,
Aksr Log Mil Kr Bi Mila Nhi Krte.
Hr Shakh Pr Bahar Aati He Zarur,
Pr Hr Shaakh Pr Phool Khila Nhi Krte.

Aankhon ko aapke deedar ki aarzu he,
Dil ko aapke pyaar ki aarzu he.
Kisi mod pe bhul na jana hame ,
Zindagi me hame aapke saath ki aarzu he.

Tanha Chhod Kr Hmko Hosla b Dete Ho,
Sans Chheen Kr Jine Ki Dua b Dete Ho.
Ek Tarf Judai Ka Gam b Jari Hai,
Aur Muskrane Ka Mashwra b Dete Ho!

Likhte hai hum kisi aur k liye,
Mere dard ko tum apna mat samjhna.
Haqiqat me hum unhe chahte hai bepanah,
Ise tum mera sapna mat samjhna.

Kabhi sapne chur-chur ho jate hai,
halaat se DOST bhi dur-2 ho jate hai.
par apki yadein itne state hai
ki SMS karne par mjbur ho jate hai.

Sabne Kaha Dosti ek dard hai,
Humne kaha dard kabul hai,
sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
humne kaha teri dosti ke sath marna kabul hai

Pal-pal ki Dosti ka vada hai apse
Apnapan kuch itna jyada hai apse
Na sochna k kabhi bhula jayenge hum
Zindagi bhar satayenge ye vada hai apse.

Wafa ka naam mat lo yaaro
Wafa dil dukhati hai 
Wafa ka naam lete hi yaro
Ek bewafa ki yaad aati hai .......

Bharat Ka Jaykaar Likhoonga

Kalam utha hi li hai ab to, bharat ki jaykar likhoonga! Hundred crore hindustaniyon ka mai to hahakar likhoonga! Rote bilakhte bharat ka ...